teri nigah mein ek shakl de raha hai mujhe mera hi aks meri naql de raha hai mujhe main ek tisri duniya mein mubtala hun kahin tu do-jahan ki kahan aql de raha hai mujhe main ek khayal ke sahra ki pyas hun jaise koi sarab teri shakl de raha hai mujhe zamin-e-dil pe muqaddar ne hijr boya tha jo gham ki roz nai fasl de raha hai mujhe tere khayal pas-e-ruh le gae mujh ko ye jism phir bhi wahan dakhl de raha hai mujhe guzar hi jaegi har shai yahi haqiqat hai wo ye dalil pas-e-qatl de raha hai mujhe ye 'arsh' zulm hai tanhai ke musafir par ye chand khwab-e-shab-e-wasl de raha hai mujhe