teri nigah se jab bhi meri nigah mili mujhe to gardish-e-ayyam se panah mili hamein to tere tabassum pe jaan deni hai kali kali ko jo dekha teri gawah mili rah-e-wafa mein tere gham ki bakhshishen kya khub dilon ko soz mila hai labon ko aah mili mujhe to sirf ye kahna hai apne dil ke liye bhatakne wali wafa ko qayam-gah mili na jaane jae kahan le ke dil ki betabi qadam qadam pe mujhe yun to jalwa-gah mili ajib haal mein rahte hain fan ke mare bhi zaban amir mili zindagi tabah mili