tahrir badalti hai taqdir badalti hai mahaul badalne se tadbir badalti hai jab rang badalta hai us chashm-e-fusun-gar ka har jura-e-sahba ki tasir badalti hai ye kya teri nisbat se har shai mein talawwun hai har lamha tere gham ki taswir badalti hai hota hai ek arsa tak jab khun tamanna ka tab khwab-e-mohabbat ki tabir badalti hai wo kuchh bhi kahen lekin main khub samajhta hun ek jumbish-e-mizhgan se taqdir badalti hai aazadi ke diwane qaidi ko khabar de do hoti hai rihai kab zanjir badalti hai