teri qurbaten hain sakun jaan-e-jaanan wagarna mohabbat junun jaan-e-jaanan jo sochun main haalat apne watan ke ragon mein se rista hai khun jaan-e-jaanan abhi tak ghaneri si chadar mein hun main kisi zulf ka hai fusun jaan-e-jaanan fasane mohabbat ke zinda rahenge main likkhun na chahe likhun jaan-e-jaanan tumhaari mohabbat ka ab bhi qasam se mere chaar su hai fusun jaan-e-jaanan kharidar tu ho to khwahish hai meri ki yusuf ke tarah bikun jaan-e-jaanan zamana to kahta hai kahta rahega ye yun hai ye yun hai ye yun jaan-e-jaanan