main ek ret ka paikar tha aur bikhar bhi gaya ajab tha khwab ki main khwab hi mein dar bhi gaya hawa bhi tez na thi aur charagh mar bhi gaya main samne bhi raha zehn se utar bhi gaya na ehtiyat koi kaam aaya ishq ke sath jo rog dil mein chhupa tha wo kaam kar bhi gaya ajab thi hijr ki saat ki jaan pe ban aai kada tha waqt wo dil par magar guzar bhi gaya hawa se dosti jis ko tha mashwara mera usi charagh ki lau se main aaj dar bhi gaya kabhi na mujh ko daraega mere baatin se ye ahd kar ke mera aaina mukar bhi gaya kinare wale mujhe bas sadaen dete rahe bhanwar ko naw bana kar main par utar bhi gaya main khak-e-pa sahi kam-tar mujhe na jaan ki main ghubar ban ke utha aasman par bhi gaya main apne jism ke andar tha aafiyat se magar lahu ke sail-e-bala-khez mein ye ghar bhi gaya khata ye thi ki main aasaniyon ka talib tha saza ye hai ki mera tisha-e-hunar bhi gaya