teri rahmat ne kar diya gustakh warna pahle to main na tha gustakh aap jo kuchh kahen sar aankhon par aur main ne jo kuchh kaha gustakh saf-goi se kaam leta hun tum ne mujh ko samajh liya gustakh kat dete wo kyun na hath mera un ke daman pe badh chala gustakh khul gai aankh ab to ai nargis aur un se nazar mila gustakh munh pe kahte use nahin banta warna 'sarshaar' hai bada gustakh