zindagi chain pa nahin sakti maut ko maut aa nahin sakti phunk sakti hai barq gulshan ko phul is mein khila nahin sakti tod deti hai maut saz-e-hayat lekin is ko baja nahin sakti tum na chaho to ye nasim-e-bahaar gul chaman mein khila nahin sakti zindagi lakh tabdar sahi maut ki tab la nahin sakti hum pe hansna to us ko aata hai hum ko duniya hansa nahin sakti hum se insan kahan milenge use hum ko duniya bhula nahin sakti