teri rahmaton ke dayar mein tere baadalon ko pata nahin

teri rahmaton ke dayar mein tere baadalon ko pata nahin
abhi aag sard hui nahin abhi ek alaw jala nahin

meri bazm-e-dil to ujad chuki mera farsh-e-jaan to simat chuka
sabhi ja chuke mere ham-nashin magar ek shakhs gaya nahin

dar-o-baam sab ne saja liye sabhi raushni mein naha liye
meri ungliyan bhi jhulas gain magar ek charagh jala nahin

gham-e-zindagi teri rah mein shab-e-arzu teri chah mein
jo ujad gaya wo basa nahin jo bichhad gaya wo mila nahin

jo dil-o-nazar ka surur tha mere pas rah ke bhi dur tha
wahi ek gulab umid ka meri shakh-e-jaan pe khila nahin

pas-e-karwan sar-e-rahguzar main shikasta-pa hun to is liye
ki qadam to sab se mila liye mera dil kisi se mila nahin

mera ham-safar jo ajib hai to ajib-tar hun main aap bhi
mujhe manzilon ki khabar nahin use raston ka pata nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close