yaad phir bhuli hui ek kahani aai dil hua khun tabiat mein rawani aai subh-e-nau naghma-ba-lab hai magar ai dubti raat mere hisse mein teri marsiya-khwani aai zard-ru tha kisi sadme se ubharta suraj ye khabar dubte taron ki zabani aai har nai rut mein hum afsurda o dil-gir rahe ya to guzre hue mausam ki jawani aai pa gae zindagi-e-nau kai mitte hue rang zehn mein jab koi taswir purani aai khushk patton ko chaman se ye samajh kar chun lo hath shadabi-e-rafta ki nishani aai yaad ka chand jo ubhra to ye aankhen huin nam gham ki thahri hui naddi mein rawani aai dil ba-zahir hai subuk-dosh-e-tamanna 'makhmur' phir tabiat mein kahan ki ye girani aai