teri samt jaane ke raston mein zinda hun phul ho chuka hun aur khushbuon mein zinda hun kaun hai jo har lamha suraten badalta hai main kise samajhne ke marhalon mein zinda hun band sipiyon mein hun muntazir hun barish ka main tumhaari aankhon ke paniyon mein zinda hun tu firaq ki saat na-tamam qurbat mein main visal ka lamha duriyon mein zinda hun ab to ye dilasa hi aakhiri wasila hai main tere khayalon ki wadiyon mein zinda hun waqt soch tanhai karb wahshaten idrak mera hausla aise qatilon mein zinda hun apni munfarid yakta be-kanar hasti ka ek hisar hai jis ki wusaton mein zinda hun