teri takhliq tera rang hawala tha mera kaun kahta hai ki andaz nirala tha mera main jahan par tha wahin tu tha mere aaina-gar teri taswiron se bharpur risala tha mera chahta tha main dua mangta par kya karta mere hathon mein to labrez piyala tha mera mujhe pahle kai sadiyon ki saza katna thi manzil-e-subh se kuchh dur ujala tha mera main use bhul gaya taki use yaad na aaun kitna mahbub mujhe bhulne wala tha mera hun tahi-dast magar minnat-e-kashkol nahin mohr-e-taskin mujhe hath ka chhaala tha mera zahr pite hue khamosh hi rahna tha mujhe shakh-e-taslim se gul-posh piyala tha mera dusri zindagi dene ki zarurat hi na thi har nai shakl ki surat mein izala tha mera ye jo duniya mein sar-e-mauj-e-hawa likkha hai mere yaron ne kabhi nam uchhaala tha mera