uljha us ki did mein pada raha tamhid mein bhul gaya is bar bhi asar nahin takid mein sikha man ko marna afsar ki taid mein rahna pal pal dhyan mein milna id ke id mein nama-bar likhwaega tujh se nam rasid mein us ki shakl utar lun gar aa jae kashid mein kanch tarashun baith kar hire ki taqlid mein dhund khuda insan se murshid dekh murid mein sifr ana ko man kar mit jao tauhid mein mujhe musawwir mil gaya chhupa hua tajrid mein dhaala ek junun ne qatra marwarid mein kuchh be-himmat dhartiyan jadi rahin khurshid mein kyun aata hai laut kar wahi qadim jadid mein wahid ko israr hai kyun itna tauhid mein