teri talab mein aise giraftar ho gae hum log khud bhi raunaq-e-bazar ho gae kya khwab tha ki kuchh nahin thahra nigah mein kya aks tha ki naqsh-ba-diwar ho gae hadd-e-nazar bichha tha teri did ka saman jo raste the sahl wo dushwar ho gae un ko bhi apne nam ki hurmat aziz thi jo tera sath dene pe tayyar ho gae biphra hua badan kisi qatil se kam na tha hum bhi wufur-e-shauq mein talwar ho gae go apne pas ek nazar ke siwa na tha hum har but-e-hasin ke kharidar ho gae ye shahr zalzalon ke thapedon se hil gaya kya kya ajab mahal the ki mismar ho gae khwahish ki uljhanon pe koi bas na chal saka dawe fusun-e-yar ke be-kar ho gae