hath us ke na aaya daman-e-naz ishq ko sunte hi the dast-daraaz bait-e-abru hai makhzan-e-asrar khat hai chehre ka sharh-e-gulshan-e-raaz dekh kar chashm khun-e-dil rona kahin ifsha na ho kisi ka raaz kyun na badnam hun jahan mein main dil hai bad-khwah chashm hai ghammaz ek dil ke liye ye fauj-kashi ishwa-o-naz ghamza-o-andaz jab bulata ayaz ko mahmud kuchh na kahta siwae banda-nawaz jab tak us se niyaz-e-dil na kahun nahin padhne ka ai 'raza' main namaz