teri talab ne falak pe sab ke safar ka anjam likh diya hai kisi ko najm-e-sahar kisi ko sitara-e-sham likh diya hai zaban pe harf-e-malal kyun ho ki hum hain raazi teri raza par tera karam tu ne aab-o-dana agar tah-e-dam likh diya hai bacha ke apne liye na rakkha koi gareban ka tar hum ne junun se jo kuchh bhi hum ne paya wo sab tere nam likh diya hai nigah bazar par nahin thi wagarna kyun chaara-saz-e-gham ne mariz ke nuskha-e-shifa mein khulus ka jam likh diya hai ye kis ke khame ka hai nawishta ki bul-hawas aish kar rahe hain nasib-e-ahl-e-nazar mein kis ne hujum-e-alam likh diya hai jahan-e-harf-o-sada mein charcha na kyun ho 'gulzar' khas tera tere liye teri khush-nawai ne shohra-e-am likh diya hai