teri talash mein hai saeban bhi hum bhi hamare sath hamari thakan bhi hum bhi falak ko chhune ki khwahish hazar dil mein liye ki sargiran hai hamari udan bhi hum bhi hai intizar mein barson se rahnumaon ke hamari manzil-e-jaan ka nishan bhi hum bhi wahi hai nok-e-sinan-e-sitam-garan-e-jahan wahi hai karb-o-bala imtihan bhi hum bhi isi ka nam liye jaenge qayamat tak hamare sath rahegi azan bhi hum bhi talash-e-manzil-e-hasti mein ek zamana hua bhatakte phirte hain sab karwan bhi hum bhi isi purani kahani pe hum jiye jaen wahi hawale wahi dastan bhi hum bhi 'nabil' roz-e-azal se the jaise waise hain sitamgaron ke sitam hain lagan bhi hum bhi