teri tanhai ka dukh aashkara ho raha hai bichhadti saaton mein tu hamara ho raha hai hisab-e-dostan dar-dil agar hai to na jaane yahan ab kya murattab goshwara ho raha hai azab-e-maslahat ki qaid mein hain log aur tu samajhta hai yahan sab ka guzara ho raha hai kahin se ek kadi gum hai hamari guftugu mein ba-zahir to ye dukh tarsil sara ho raha hai agar koi nahin hai aaine ke par 'shahzad' to phir ye kaun hum par aashkara ho raha hai