teri tegh abru ki tuk samne kar dekhen to bachche khurshid bhi rakh munh pe sipar dekhen to mere khurshid-laqa did ki tuk rukhsat de tere didar ko phir ek nazar dekhen to tegh tole hue kandhe pe jo aaya hai sawar o sajile mere ghode se utar dekhen to mar gaya jo use kahte hain hua aaj visal ji racha zist se is hijr mein mar dekhen to bah chuka khana-e-dil aankh tak aa pahunchi sail roe ja aur bhi ai dida-e-tar dekhen to aa ke aankhon ka shabistan mera raushan kar de wo din aata hai kab ai nur-e-basar dekhen to hai masal ghussa utar jata hai panw pe gire qadmon par us ke bhala sar ko bhi dhar dekhen to din bahut bit gae galiyan hain suni tujh bin jaani ban-than zari aa jao idhar dekhen to sab kahen guzri pa guzri na ku-e-dil-bar mein rahe jaan 'azfari' is se bhi guzar dekhen to