munfail tha tera jalwa kya kya hum ne samjha tera mansha kya kya ek tha lafz-e-mohabbat jis se masale ho gae paida kya kya tu hi khud dekh ki tere liye kaam mar gaya harf-e-tamanna kya kya kaun jaane ki tujhe bin dekhe tujh se milta hai sahaara kya kya jab na dekha unhen dekha hi nahin jab bhi dekha unhen dekha kya kya kis ko samjhaen ki us mahfil mein kaise hota hai taqaza kya kya kis qadar sakht maqam aae the hum ne rakkha tera parda kya kya hum jo diwane nahin ho jate dekhte log tamasha kya kya aaj tha raunaq-e-mahfil 'ali' tum na hote to wo padhta kya kya