teri thaki hui aaankhon mein khwab tha ki nahin mere sawal ka koi jawab tha ki nahin utha ke sirf babulon ke khar le aae chaman chaman kahin taza gulab tha ki nahin bade sukun se rahe mom ke badan wale tumhaara shahr tah-e-aftab tha ki nahin har ek shakhs wahan gin raha tha lahron ko guzarte lamhon ka koi hisab tha ki nahin sarab tishna-labi dhup aabla-pai khayal pichhle safar ka azab tha ki nahin har ek samt udasi ka rang tha 'shahid' wo jalwa-saz kabhi be-hijab tha ki nahin