din guzarte hain jo andesha-o-afkar ke sath dil dhadakta hai magar ranj-e-giran-bar ke sath sainkadon barson pe phaili hain hikayat magar waqiye ek se wabasta hain talwar ke sath yun to sangini-o-baala-qadi achchhi hai magar ek sae ka tasawwur bhi hai diwar ke sath ab khala apni hi jaanib ye safar hai ki yahan fasle aur badhe garmi-e-raftar ke sath kisi tanha se ajab garmi-e-bazar rahi ek amboh-e-tamanna tha kharidar ke sath