teri tirchhi nazar ka tir hai mushkil se niklega dil us ke sath niklega agar ye dil se niklega shab-e-gham mein bhi meri sakht-jaani ko na maut aai tera kaam ai ajal ab khanjar-e-qatil se niklega nigah-e-shauq mera muddaa tu un ko samjha de mere munh se to harf-e-arzu mushkil se niklega kahan tak kuchh na kahiye ab to naubat jaan tak pahunchi takalluf-bar-taraf ai zabt nala dil se niklega tasawwur kya tera aaya qayamat aa gai dil mein ki ab har walwala bahar mazar-e-dil se niklega na aaenge wo tab bhi dil nikal hi jaega 'fani' magar mushkil se niklega badi mushkil se niklega