teri wafa ka hua tha kabhi guman mujh ko wahi khayal hua aish-e-jawedan mujh ko shikayat-e-sitam-e-dushmanan main kya karta ki bhulta hi nahin lutf-e-dostan mujh ko tere jamal ka zikr-e-jamil main karta na mil saka koi aalam mein raaz-dan mujh ko na sang-e-mil na naqsh-e-qadam na rahbar hai teri talash ne gum kar diya kahan mujh ko tu khud mile na mile justuju ki dad to de nishan mera bhi mita de na de nishan mujh ko zaban-e-shama se zahir ho soz-e-parwana kuchh is tarah se jala sozish-e-nihan mujh ko talash-e-yar mein khoya raha jo main 'bekhud' hua na bar-e-gham-e-do-jahan giran mujh ko