tujh par meri mohabbat qurban ho na jae ye kufr badhte badhte iman ho na jae allah ri be-naqabi us jaan-e-muddaa ki meri nigah-e-hasrat hairan ho na jae meri taraf na dekho apni nazar ko roko duniya-e-ashiqi mein haijaan ho na jae palkon pe ruk gaya hai aa kar jo ek aansu ye qatra badhte badhte tufan ho na jae hadd-e-sitam to hai bhi hadd-e-wafa nahin hai zalim tera sitam bhi ehsan ho na jae hoti nahin hai waqat hoti nahin hai izzat jab tak ki koi insan insan ho na jae us waqt tak mukammal hota nahin hai koi jab tak ki khud ko apni pahchan ho na jae 'bahzad' is liye main kahta nahin hun dil ki darta hun sun ke duniya hairan ho na jae