teri wafa mein mere intizar mein kya tha khizan ke dard mein zakhm-e-bahaar mein kya tha ye sochna tha na ho jaen is qadar majbur ye dekhna tha tere ikhtiyar mein kya tha labon ne phul tarashe nazar ne barsae magar wo kawish-e-mizhgan-e-yar mein kya tha udhar khayal tha rukhsar-o-chashm-o-lab ka idhar khabar nahin dil-e-ummid-war mein kya tha nazar ke kante pe tul kar subuk hue na garan tawazun-e-nigah-e-nau-bahaar mein kya tha nigah mein ramz-e-ghazal lab pe maqta-e-tamkin bayan to kijiye us ikhtisar mein kya tha labon ko tum ne to 'masud' si liya tha magar tabassum-e-nigh-e-raaz-dar mein kya tha