meri zindagi ka ye haal tha yahi shakl-e-rah-rawi rahi ki na gham ka gham hi raha kabhi na khushi ki mujh ko khushi rahi na wo parda-dar hai raaz mein na kisi ki parda-dari rahi jo pade the parde sab uth gae magar ab bhi jalwagari rahi shab-e-hijr guzri hai kis tarah tumhein kya sunaun ye majra main ajal ke sae mein tha khada meri sar pe maut khadi rahi teri yaad mein bahut hila-ju yunhi guzre sham-o-sahar mere kabhi din mein aah se kaam tha kabhi shab mein nauhagari rahi na kisi ke dushman-e-jaan hue na kisi ko dushman-e-jaan kiya yahi baat thi ki jo ghair se bhi hamesha apni bani rahi meri hasraten mere hausle sab hi jal ke khak mein mil gae ye kisi ki di hui aag thi jo lagi to dil mein lagi rahi wo ghata ka zor kahan gaya shab-e-mah kya hui saqiya ki na lutf-e-bazm-e-surur hai na bahaar-e-baada-kashi rahi ye nawazishen teri baghban ki kahin ka main nahin rah gaya na wo ranj-e-daur-e-khizan raha na wo fasl-e-gul ki khushi rahi meri be-kasi se jahan mein na hua bhi kuchh to bahut hua wahi bebasi to rahi magar teri yaad dil mein basi rahi ye sawal kyun ye khayal kya hai wafa to is ka maal kya yahi zikr wird-e-zaban raha yahi fikr dil ko lagi rahi na mujhi ko apna pata mila na tujhi ko dhundh ke pa saka na meri khabar na teri khabar ajib ek be-khabari rahi ye maqam-e-shukr hai be-guman raha khush hi 'khushtar'-e-khush-bayan na ata wajud mein thi kasar na karam ki us ke kami rahi