teri yaad ka har manzar pas-manzar likhta rahta hun dil ko waraq banata hun aur shab bhar likhta rahta hun bhari do-pahri sae banata rahta hun main lafzon se tariki mein baith ke mah-e-munawwar likhta rahta hun khwab sajata rahta hun main bujhi bujhi si aankhon mein jis se sab mahrum hain use mayassar likhta rahta hun chhanw na bante ped to apni aatish mein jal jata hai sirf yahi ek baat main use barabar likhta rahta hun kya batlaun 'pashi' tum ko sang-dilon ki basti mein moti sochta rahta hun main gauhar likhta rahta hun