wo rabte bhi anokhe jo duriyan barten wo qurbaten bhi nirali jo lams ko tarsen sawal ban ke sulagte hain raat bhar tare kahan hai nind hamari wo bas yahi puchhen bulata rahta hai jangal hamein bahanon se sunen jo us ki to shayad na phir kabhi lauten phisalti jati hai hathon se ret lamhon ki kahan hai bas mein hamare ki hum use roken haqiqaton ka badalna to khwab hai 'fikri' magar ye khwab hai aisa ki sab jise dekhen