teri yaaden hain dil mein phir bhi virani si rahti hai khuda jaane ajab lahaq pareshani si rahti hai badan par lakh kapde hon magar phir bhi barahna hai agar insan ke zehn-o-dil mein uryani si rahti hai yahi achchha hai insan ke liye insan ka dil rakhna dukhane se kisi ka dil pashemani si rahti hai khirad-mandi zamane mein ajab eajaz rakhti hai main jab bhi sochta hun ghanton hairani si rahti hai main tanha hun magar ehsas-e-tanhai nahin mujh ko ki dil mein ek surat jaani-pahchani si rahti hai kabhi ai kash wo mil jae mujh ko aisa ho jae tamanna mere dil mein ek anjaani si rahti hai mujhe 'shahzad' teri dosti se dar sa lagta hai teri aankhon mein poshida jo nadani si rahti hai