mohabbat jazba hai ehsas hai aur sehr hai jaanan rag-o-pai mein sarayat jo kare wo zahr hai jaanan agar fursat mile to mere dil mein jhank kar dekho tumhaari aarzuon ka basa ek shahr hai jaanan tumhaari nim-wa aankhon mein jaane kya hai poshida ki shokhi hai ghazab hai pyar hai ya qahr hai jaanan kinare ab laga de ya dubo de us ki marzi hai ki dil dariya ki ek biphri hui si lahr hai jaanan zara socho ki haalat hogi kya 'shahzad' ke dil ki wahi mausam gulabi hai wahi sah-pahr hai jaanan