teri yaadon ke sae mein hamare din guzarte hain tujhe hum chahte the kal tujhi pe aaj marte hain mohabbat ka ye rishta todna aasan nahin hargiz magar haalat ki bazigari se hum bhi darte hain ye baadal bhi guzar jate hain sahraon se bin barse magar sarsabz wadi mein ye be-mausam baraste hain hamare waste baad-e-saba ban kar wo aaega yahi arman liye gin gin ke tare subh karte hain isi ummid par har mausam-e-gul ko sadaen din na-jaane kab hamari zindagi ke din sanwarte hain 'majid' aasan nahin hai un ke wadon ka wafa hona jo khushbu ki tarah ud kar fazaon mein bikharte hain