wabasta hain hazaron alam har khushi ke sath ek khel ho raha hai meri zindagi ke sath un ki ada-e-naz pe qurban jaiye karte hain qatl-e-am magar sadgi ke sath main ne to band kar diya ulfat ka karobar ab kaun chhedta hai mujhe dil-lagi ke sath zauq-e-talab ne mujh ko kahan la ke rakh diya main khud ko dhundhta hun badi bebasi ke sath gulshan-parast aaj bhi hain intizar mein kab aaegi bahaar nai tazgi ke sath sab hain gham-e-maash ke mare hue 'majid' main ji raha hun ab bhi gham-e-ashiqi ke sath