teri zulf ke pech-o-KHam dekhte hain

teri zulf ke pech-o-kham dekhte hain
hamin jaante hain jo hum dekhte hain

ye haalat hui hai junun mein hamari
khushi dekhte hain na gham dekhte hain

bahut dekh li hai zamane ki gardish
muqaddar ka ab zer-o-bam dekhte hain

tasawwur mein hain jin ke jalwe tumhaare
wo husn-e-do-alam ko kam dekhte hain

jhagadte hain shaikh-o-barahman magar hum
tamasha-e-dair-o-haram dekhte hain

sar-e-bazm hai ehtiyat aaj aisi
na tum dekhte ho na hum dekhte hain

kisi chashm-e-maigun mein hum aaj 'rifat'
chhalakte hue jam-e-jam dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close