tesha-ba-dast aa mere aazar tarash de be-dol hai bahut mera paikar tarash de gar qumriyon ke naghme giran-bar hain tujhe is rut mein sare sarw sanobar tarash de yun ud gai hai bu-e-wafa us ki zat se jis tarah koi shakh-e-gul-e-tar tarash de udna agar hai baad-e-mukhalif ka dhyan rakh aisa na ho ki tez hawa par tarash de kya mom ke badan ki haqiqat tere liye tu chahe to nigahon se patthar tarash de