jin laghzishon ke dahr mein jhande buland hain aiwan-e-zindagi ke wahi naqsh-band hain be-saegi ne hum ko banaya hai tez-gam hum log sukhe pedon ke ehsanmand hain lafzon ke qaht hi ki nawazish kahen use tabut-e-zehn mein jo khayalat band hain tu apna mal pahle harison mein bant de kya hai hamara hum to qanaat-pasand hain is qaid hi mein wusat-e-donon-jahan mili ye soch kar hi aaj bhi hum khud mein band hain