teshe se koi kaam na farhad se hua jo kuchh hua wo ishq ki imdad se hua meri taraf jo zulf se phenka nikal kar aisa qusur kya dil-e-nashad se hua apne khiram-e-naz ki un ko khabar nahin kahte hain hashr teri hi fariyaad se hua be-hukm yun kisi ko satata nahin falak mujh par ye zulm aap ke irshad se hua 'bekhud' ki tarah kaun tumhein jaan de saka ye kaam ishq mein usi nashad se hua