us se phir kya gila kare koi jo kahe sun ke kya kare koi hum bhi kya kya kahen khuda jaane gar hamari suna kare koi hae wo baaten pyar ki shab-e-wasl bhule kya yaad kya kare koi log kyun puchhte hain haal mera zikr kis baat ka kare koi dard-e-dil ka ilaj ho kis se yun masiha hua kare koi bewafa gar kahun to kahte hain kya har ek se wafa kare koi jae gar jaan to sau hain tadbiren jae gar dil to kya kare koi koi apni khata to ho malum uzr kis baat ka kare koi dil ka kuchh haal hi nahin khulta gar maraz ho dawa kare koi kabhi main ne bhi kuchh kaha tum se na suno, kuchh kaha kare koi tum se be-rahm par na dil aae aur aae to kya kare koi saikdon baaten kah ke kahte hain phir hamein kyun khafa kare koi koi kab tak na de jawab tumhein chupka kab tak suna kare koi shikwa us but ka har kisi se 'nizam' us se kah de khuda kare koi