tez hai mera qalam talwar se

tez hai mera qalam talwar se
dost khaif hain meri raftar se

jeb mein kuchh bhi nahin tha is liye
laut kar main aa gaya bazar se

jholiyan bhar bhar ke jate hain sabhi
nausha-e-lajpal ke darbar se

phir rasai mein nahin rah paya wo
chand upar ho gaya diwar se

aap ghusse mein rahen aur mere dost
lut kar sab le gae hain pyar se

ek dil tuta hua hai ek main
aur kuchh jazbaat hain be-kar se

thoda thoda khud se main khaif raha
thoda thoda ghaib ke asrar se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close