tez hai pine mein ho jaegi aasani mujhe zamzami se de de zahid to zara pani mujhe dekhna nazuk bhi hain kamsin bhi hain bhole bhi hain sham se samjha rahi hai un ki nadani mujhe baat bigdi wasl mein bigdi jo tu ai zulf-e-yar kuchh pareshani tujhe hai kuchh pareshani mujhe hath utha kar rah gae aankhen jhuka kar rah gae tegh-e-uryan ki pasand aai jo uryani mujhe ban gaya hun aaina ai jalwa-ha-e-barq-e-tur mil gai hai un ki aaine ki hairani mujhe aap use darban bataen uzr mujh ko kuchh nahin saunpiye ghar ghair ko apni nigahbani mujhe khub rota hun bagulon se lipat kar dasht mein yaad aati hai jo apne ghar ki virani mujhe fasl-e-gul mein rang laya hai shabab-e-dukht-e-raz chhedti hai aa ke raaton ko ye mastani mujhe bol utha joban kisi se bhi nahin dabne ka main saunpiye sarkar ab apni nigahbani mujhe raaz sar-basta raha kab chaak-damani ka haal ai saba dikhla na apni pak-damani mujhe wae qismat pad gai kaisi girah-e-taqdir mein uqda-e-mushkil nazar aati hai aasani mujhe ab kahan taqdir mein hain ghunt shahd-o-shir ke yaad aati hai kisi shai ki farawani mujhe chashm-e-rahm ai saqi-e-kausar ki ab milta nahin tishnagan-e-karbala ke nam par pani mujhe shah-e-dauran hazrat-e-'hamid'-ali-khan ke siwa kaun hai jis ki tawajjoh se ho aasani mujhe roz-afzun ho taraqqi daulat-o-iqbaal ki aur mil jae dar-e-daulat ki darbani mujhe chahta hai qais se achchhi rahe shakl-e-'riyaz' ban chuka main kyun banata hai are mani mujhe