purana zakhm jise tajraba ziyaada hai ziyaada dikhta nahin sochta ziyaada hai zara ziyaada mohabbat bhi chahiye hum ko hamara dil bhi to tuta hua ziyaada hai tera visal zarurat hai jism-o-jaan ki to ho tera khayal mere kaam ka ziyaada hai jo masjidon ki taraf is qadar bulate hain to kya ye hai ki kahin kuchh khuda ziyaada hai main bar bar jo us ki talab mein jata hun khayal-e-kham mein shayad maza ziyaada hai amir-e-shahr se ab kaun baz-purs kare ki us ke pas bahut si qaba ziyaada hai ye aaina mera aaina-e-mohabbat hai par us mein aks kisi aur ka ziyaada hai badan ke bagh mein sab raunaqen hain dil ke qarib isi nawah mein baad-e-saba ziyaada hai hujum-e-shiddat-e-'ehsas' badh par hai aaj karam bhi aaj ghazal ka zara ziyaada hai