tez hawao ab darna ghabrana kaisa chalna hi thahra to shor machana kaisa aangan aangan mein virani nach rahi hai saz uthana kaisa naghma gana kaisa sham dhale se aasebon ka danka baje puran-mashi mein bhi bahar aana kaisa ai sayyaho ye to daldal ki wadi hai is mein utre ho to jaan bachana kaisa sare mausam ek tasalsul mein shamil hain tera aana kaisa tera jaana kaisa un ki khatir hum ko suraj hansna hoga yakh shahron ko aahon se pighlana kaisa