is qadar us ki mudaraat hai virane mein koi to baat hai aakhir tere diwane mein faiz-e-saqi se jo mahrum hain mai-khane mein jaane kya hum se khata ho gai anjaane mein waqt ki baat hai ab us ke taraste hain lab jitni hum chhod diya karte the paimane mein main ne mana ki adu bhi tera shaidai hai farq hota hai fida hone mein mar jaane mein dilrubai ke jise hum ne sikhae andaz jaan-e-mahfil hai wahi ghair ke kashane mein har ada dil ke liye dashna-o-khanjar hai magar aur hi baat hai zalim tere sharmane mein na tasalli na tashaffi na koi pyar ki baat tujh ko kya milta hai kafir hamein tadpane mein saqiya mai jo nahin baqi to talchhat hi sahi dal de nam-e-khuda thodi si paimane mein meri jaanib se tere dil mein ghubar aa hi gaya aakhirash aa hi gaya ghair ke bhadkane mein ishq ki aag siwa kis mein hai ye kaun kahe shama ke sina-e-sozan mein ki parwane mein 'khar' hai jalwa-e-asnam se dil khuld-e-barin ya pari-zadon ka majma hai pari-khane mein