tha bhulana jinhen phir bhi wahi gham yaad aae hum mile bhi to zamane ke sitam yaad aae kar-e-duniya mein na shabnam hai na ambar na gulab dahr dekha to teri zulf ke kham yaad aae yaad kar ke tumhein rone ka zamana bhi gaya aaj roya hun to samjha hun ki tum yaad aae bhar ke jhilon ko chala jata hai sawan jaise is tarah yaad hai wo shakhs jo kam yaad aae ye to sach hai tha mere lab ke qarin aur gulab ye bhi sach hai mujhe us waqt bhi tum yaad aae