tha intizar mujhe chand ke nikalne ka

tha intizar mujhe chand ke nikalne ka
ye waqt hai mere ehsas ke pighalne ka

sunahre rang ki dikhti hai zindagi yaro
hai pur-sukun ye nazara alaw jalne ka

wo aanch chhod gaya muskuraate honton ki
kiya tha ahd kabhi jis ne sath chalne ka

wo ladkhada gaya khud hath chhod kar mera
jo de raha tha mujhe mashwara sanbhalne ka

unindi palkon tale dekhta raha shab-bhar
nazara khwab ki parchhaiyon mein dhalne ka

na mere pankh khule aur na zindagi badli
mujhe na aaya hunar bakht ko badalne ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close