sham ke maddham ujalon mein wo Dar ka jagna

sham ke maddham ujalon mein wo dar ka jagna
meri qismat mein likha hai umr-bhar ka jagna

khamushi se zulm ka kab ho saka hai ehtijaj
dekhna baqi hai ab su-e-nagar ka jagna

jab bhi wapas lautta hun dekhta hun main faqat
ek tanha sham ke sae mein ghar ka jagna

kash dekha hota tum ne mere chehre par kabhi
rah takti dur tak bebas nazar ka jagna

zist ka hissa hai ab khamoshiyon ke darmiyan
sath mere ghar ki in diwar-o-dar ka jagna

aankh khulte hi wo aksar dekhte hain chupke se
dhadkanon ke shor mein ek be-khabar ka jagna

yaad hai wo sardiyon ki narm raaten aur phir
chae ki wo chuskiyan le kar sahar ka jagna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close