tha jaanib-e-dil subh-dam wo khush-khiram aaya hua aadha qadam su-e-gurez aur nim-gam aaya hua raqs aur pa-kubi karun lazim hai majzubi karun dekho to hai mera sanam mera imam aaya hua dariya-e-darweshi ke beach tufan-e-be-khweshi ke beach wo gauhar-e-sairab wo sahab-maqam aaya hua ai dil bata ai chashm kah ye ru-e-dil-bar hi to hai ya mah-e-charkh-haft mein baala-e-baam aaya hua hai zarra zarra par sada ahlaw-wa-sahlan marhaba kya sar-zamin-e-dil pe hai wo aaj sham aaya hua tujh par padi ye ki chhut ai chashm-e-hairan kuchh to phut kya hadd-e-binai mein hai wo ghaib-e-fam aaya hua larzan hai dil mein raaz sa shoala qadim-awam sa ya lala-e-khamosh par rang-e-dawam aaya hua hai mausam-e-diwangi phir chaak ijad meri lauta rahe hain pahle ka khayyat kaam aaya hua meri taraf se ai aziz dil mein na rakhna koi chiz phirte bhi dekha hai kahin sahab ghulam aaya hua khurshid-samani teri aur zarra-damani meri hai ajuba dekhne har khas-o-am aaya hua ek girdadi sahra samet ek mauj uthi dariya samet duniya-e-khak-o-ab mein tha koi sham aaya hua yak umr-raftari ke sath yak mah-sayyari ke sath yak charkh-e-dawari ke sath gardish mein jam aaya hua sad-chashm bedari ke sath sad-sina sarshaari ke sath sau sau tarah shahbaz dil hai zer-e-dam aaya hua