manzar-e-sarw-o-saman yaad aaya phir se gum-gashta watan yaad aaya pichhe ab kya hai ghubar-e-rafta dahr mein bagh-e-adan yaad aaya baal-o-par tut chuke the jis waqt hamein parwaz ka fan yaad aaya phir kisi shakh pe koyal boli phir tera rang-e-sukhan yaad aaya awwal ek shakhs ki yaad aai bahut doem ek sanp ka phan yaad aaya ek din socha ki ujle ho jaen tan ko dhoya tha ki man yaad aaya khun sa rah gaya dil mein jo shakhs aaj phir ban ke chubhan yaad aaya phir se dil dub raha hai 'betab' phir zamane ka chalan yaad aaya