tha pahla safar us ki rifaqat bhi nai thi raste bhi kathin aur masafat bhi nai thi dil tha ki kisi taur bhi qabu mein nahin tha rah rah ke dhadakne ki alamat bhi nai thi jab us ne kaha tha ki mujhe ishq hai tum se aankhon mein jo aai thi wo hairat bhi nai thi sadiyon ke talluq ka guman hone laga tha jab ki meri us shakhs se nisbat bhi nai thi waqif bhi nahin tha main kisi sud-o-ziyan se us ishq ke saude mein shirakat bhi nai thi khwabon ke bikhar jaane ka dhadka bhi laga tha be-dari-e-shab ki mujhe aadat bhi nai thi tabir kahan dhundne jatin meri aankhen un ko to kisi khwab ki zahmat bhi nai thi dil waqif-e-adab-e-mohabbat bhi nahin tha duniya ke riwajon se baghawat bhi nai thi phir main ki kisi nashe ka aadi bhi nahin tha aur mere liye wasl ki lazzat bhi nai thi yun kar-e-junun karna khirad-mandon mein rah kar jo dali thi tum ne wo riwayat bhi nai thi