ye furqaton mein lamha-e-visal kaise aa gaya mohabbaton mein phir naya ubaal kaise aa gaya jise jahan ke mashghalon mein apna hosh bhi na tha achanak aaj use mera khayal kaise aa gaya abhi talak to mere sare zakhm the hare-bhare yakayak un ko kar-e-indimal kaise aa gaya judai ka bas ek pal giran tha zindagi pe jab to darmiyan bahr-e-mah-o-sal kaise aa gaya abhi talak thin waqt ki tanaben us ke hath mein adam faraghaton ka phir sawal kaise aa gaya mere zara se dard par tadap thi jis ki didani use sitamgari ka ye kamal kaise aa gaya 'nadim' apni chahaton pe naz tha tumhein bahut to phir tumhaare ishq par zawal kaise aa gaya