tha pas-e-mizhgan-tar ek hashr barpa aur bhi main agar ye jaanta shayad to rota aur bhi panw ki zanjir girdab-e-bala hoti agar dubte to sath par ek naqsh banta aur bhi aandhiyon ne kar diye sare shajar be-barg-o-bar warna jab patte khadakte dil larazta aur bhi rauzan-e-dar se hawa ki siskiyan sunte raho ye na dekho hai koi yan aabla-pa aur bhi har taraf aawaz ke tute hue girdab hain raushni kam hai magar chalta hai dariya aur bhi sirf tu hota to tera wasl kuchh mushkil na tha kya karen tere siwa kuchh hum ne chaha aur bhi aarzu shab ki masafat hai to tanha katiye din ke mahshar mein to ho jaenge tanha aur bhi